SEARCH RESULTS
Showing search results for "सोज़-ए-जिगर"
Sher MATCHES FOR "सोज़-ए-जिगर"
Sher
ahl-e-imaa.n 'soz' ko kahte hai.n kaafir ho gayaa
aah yaa rab raaz-e-dil in par bhii zaahir ho gayaa
Meer Soz
Sher
garmii-e-dair-o-haram se na miTii dil kii tapish
kar liyaa soz-e-jigar se hii sharaara paidaa
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
tuul-e-Gam-e-hayaat se ghabraa na ai 'jigar'
aisii bhii ko.ii shaam hai jis kii sahar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
ek dil hai aur tuufaan-e-havaadis ai 'jigar'
ek shiisha hai ki har patthar se Takraataa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
vahii hai zindagii lekin 'jigar' ye haal hai apnaa
ki jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Sher
ahbaab mujh se qat-e-ta.alluq kare.n 'jigar'
ab aaftaab-e-ziist lab-e-baam aa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
jaan hii de dii 'jigar' ne aaj paa-e-yaar par
umr bhar kii be-qaraarii ko qaraar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
S A Mehdi
Sher
sab apnaa haal kahte rahe chaarasaaz se
mai.n thaa ki mahv-e-lazzat-e-dard-e-jigar rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
ai soz-e-ishq-e-pinhaa.n ab qissa muKHtasar hai
iksiir ho chalaa huu.n ik aa.nch kii kasar hai
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.n KHuun-e-jigar hote tak