SEARCH RESULTS
Showing search results for "हज़रत-ए-उस्ताद"
Sher MATCHES FOR "हज़रत-ए-उस्ताद"
Sher
kyaa buto.n me.n hai KHudaa jaane ba-qaul-ustaad
na kamar rakhte hai.n kaafir na dahan rakhte hai.n
Hatim Ali Mehr
Sher
tuKHm-e-raihaa.n khilaa tabiib mujhe
ya.anii huu.n mai.n mariiz-e-hazrat-e-KHaal
Maatam Fazl Mohammad
Sher
kahaa.n se laa.uu.n sabr-e-hazrat-e-ayyuub ai saaqii
KHum aa.egaa suraahii aa.egii tab jaam aa.egaa
Shad Azimabadi
Sher
Wali Uzlat
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
hazrat-e-daaG jahaa.n baiTh ga.e baiTh ga.e
aur ho.nge tirii mahfil se ubharne vaale
Dagh Dehlvi
Sher
mahruum huu.n mai.n KHidmat-e-ustaad se 'muniir'
kalkatta mujh ko gor se bhii ta.ng ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ahl-e-biinash ko hai tuufaan-e-havaadis maktab
lutma-e-mauj kam az saili-e-ustaad nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
ga.e the hazrat-e-zaahid to zard thaa chehra
sharaab-KHaane se nikle to surKH-ruu nikle
Rasheed lakhnavi
Sher
hazrat-e-ishq ne dono.n ko kiyaa KHaana-KHaraab
barhaman but-kada aur shaiKH haram bhuul ga.e
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
taqliid ab mai.n hazrat-e-vaa.iz kii kyuu.n karuu.n
saaqii ne de diyaa mujhe fatvaa javaaz kaa