SEARCH RESULTS
Showing search results for "हथेली"
Sher MATCHES FOR "हथेली"
Sher
bharii bahaar me.n ik shaaKH par khilaa hai gulaab
ki jaise tuu ne hathelii pe gaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
jis kaa inkaar hathelii pe liye phirtaa huu.n
jaantaa hii nahii.n inkaar kaa matlab kyaa hai
Zafar Iqbal
Sher
kabhii sayyaad kaa khaTkaa hai kabhii KHauf-e-KHizaa.n
bulbul ab jaan hathelii pe liye baiThii hai
Mah Laqa Chanda
Sher
kis vaaste likkhaa hai hathelii pe miraa naam
mai.n harf-e-Galat huu.n to miTaa kyuu.n nahii.n dete
Hasrat Jaipuri
Sher
mirii hathelii pe ho.nTo.n se aisii mohr lagaa
ki umr bhar ke liye mai.n bhii surKH-ruu ho jaa.uu.n
Munawwar Rana
Sher
gar mire dil ko churaayaa nahii.n tuu ne zaalim
khol de band hathelii ko dikhaa haatho.n ko
Mah Laqa Chanda
Sher
jahaa.n ik shaKHs bhii miltaa nahii.n hai chaahne se
vahaa.n ye dil hathelii par zamaana chaahtaa hai
Humaira Rahat
Sher
tuu jo ye jaan hathelii pe liye phirtaa hai
teraa kirdaar kahaanii se nikal saktaa hai
Ahmad Khayal
Sher
qabaa-e-zard pahan kar vo bazm me.n aayaa
gul-e-hinaa ko hathelii me.n thaam kar baiThaa
Muneer Niyazi
Sher
ham bhii in bachcho.n kii maanind ko.ii pal jii le.n
ek sikka jo hathelii pe sajaa laate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
sajaa liyaa hai hathelii pe ham ne us kaa naam
is liye to bichha.D jaane kaa malaal na thaa
Tahira Jabeen Tara
Sher
ye biphartii mauj andeshe samundar aur mai.n
Duubtii saa.nse.n hathelii par miraa sar aur mai.n
Tufail Chaturvedi
Sher
is siyah-KHaane me.n tujh ko jaagnaa hai raat bhar
in sitaaro.n ko na be-maqsad hathelii par bujhaa