SEARCH RESULTS
Showing search results for "हद्द-ए-ग़ुमान"
Sher MATCHES FOR "हद्द-ए-ग़ुमान"
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
mai.n dekhtaa huu.n aap ko hadd-e-nigaah tak
lekin mirii nigaah kaa kyaa e'tibaar hai
Seemab Akbarabadi
Sher
nazar se hadd-e-nazar tak tamaam taariikii
ye ehtimaam hai ik va.ada-e-sahar ke liye
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
tiirgii hii tiirgii hadd-e-nazar tak tiirgii
kaash mai.n KHud hii sulag uTThuu.n a.ndherii raat me.n
Shahzad Ahmad
Sher
hai taa-hadd-e-imkaa.n ko.ii bastii na bayaabaa.n
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab dikhaa.ii nahii.n detaa
Syed Amin Ashraf
Sher
ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaa.n Gubaar hii Gubaar hai
Shahryar
Sher
hadd-e-nazar tak ek dariiche se aaj phir
mai.n jaa rahaa thaa aur ko.ii dekhtaa rahaa
Ahtamam Sadiq
Sher
sabr hijraa.n me.n kare 'kaifii'-e-mahzuu.n kab tak
aaKHir ai dost ko.ii hadd-e-shakebaa.ii hai
Dattatriya Kaifi
Sher
ye mohabbat hai ise dekh tamaashaa na banaa
mujh se milnaa hai to mil hadd-e-adab se aage
Zakariya Shaz
Sher
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat to.D de
kabhii phir us se pyaar kaa KHayaal bhii na aa.egaa
Yaqoob Yawar
Sher
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
tanhaa.ii kii ye kaun sii manzil hai rafiiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Sher
pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na ba.Dhe
ab ye shikva ki sharaafat ne kahii.n kaa na rakhaa
Rais Amrohvi
Sher
mai.n sochtaa huu.n is liye shaayad mai.n zinda huu.n
mumkin hai ye gumaan haqiiqat kaa gyaan de
Himayat Ali Shayar
Sher
ye kaisii bahaar-e-chaman aa.ii ki chaman me.n
viiraana hii viiraana hai taa-hadd-e-nazar aaj