SEARCH RESULTS
Showing search results for "हम-आग़ोश"
Sher MATCHES FOR "हम-आग़ोश"
Sher
sote me.n vo jo mujh se ham-aaGosh ho ga.e
jitne gile the KHvaab-e-faraamosh ho ga.e
Jaleel Manikpuri
Sher
sunte hii ho ke ham-aaGosh kahaa ha.ns ke tujhe
dard-e-dil kii hai davaa aur bhii darkaar ki bas
Maroof Dehlvi
Sher
ye jo mai.n tujh ko ham-aaGosh kiye rahtaa huu.n
jaane kis kis ko faraamosh kiye rahtaa huu.n
Abdul Wahab Sukhan
Sher
ye jo mai.n tujh ko ham-aaGosh kiye rahtaa huu.n
jaane kis kis ko faraamosh kiye rahtaa huu.n
Abdul Wahab Sukhan
Sher
tanhaa.ii se aatii nahii.n din raat mujhe nii.nd
yaa-rab miraa ham-KHvaab o ham-aaGosh kahaa.n hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ab mire vaaste har mauj hai aaGosh-e-sukuu.n
bahr-e-Gam me.n jo nahii.n hai ko.ii saahil na sahii
Abdul Hai Aarfi
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
pairahan luuTe maze terii ham-aaGoshii ke
ham kare.n chaak garebaan KHudaa kii qudarat
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Sarfaraz Shahid
Sher
samajh le aashiq o ma.ashuuq kii ham-aaGoshii
azaab aur to kyaa qabr ke fishaar me.n thaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
maa.n kii aaGosh me.n kal maut kii aaGosh me.n aaj
ham ko duniyaa me.n ye do vaqt suhaane se mile
Kaif Bhopali
Sher
aaGosh me.n mahkoge dikhaa.ii nahii.n doge
tum nik.hat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hai.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
aaGosh sii.n sajan ke haman kuu.n kiyaa kanaar
maaru.ngaa is raqiib kuu.n chha.Diyo.n se god god
Abroo Shah Mubarak
Sher
dard jab zabt kii har had se guzar jaataa hai
KHvaab tanhaa.ii kii aaGosh me.n so jaate hai.n
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
vo to KHushbuu hai har ik samt bikharnaa hai use
dil ko kyuu.n zid hai ki aaGosh me.n bharnaa hai use
Sada Ambalvi
Sher
iid-e-nau-roz dil apnaa bhii kabhii KHush karte
yaar aaGosh me.n KHurshiid hamal me.n hotaa