SEARCH RESULTS
Showing search results for "हम-आहंग"
Sher MATCHES FOR "हम-आहंग"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
har rang har aaha.ng mire saamne aajiz
mai.n koh-e-ma.aanii kii bulandii pe kha.Daa huu.n
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
ab jahaa.n me.n baaqii hai aah se nishaa.n apnaa
u.D ga.e dhu.e.n apne rah gayaa dhu.aa.n apnaa
Natiq Gulavthi
Sher
ye zulm dekhiye ki gharo.n me.n lagii hai aag
aur hukm hai makiin nikal kar na ghar se aa.e.n
Mohsin Zaidi
Sher
dil se niklii hu.ii har aah kii taasiir me.n aa
maa.ng le rab se mujhe aur mirii taqdiir me.n aa
Anwar Kaifi
Sher
sulag rahaa huu.n KHud apnii hii aag me.n kab se
ye mashGala to mire dard kii asaas na thaa
Asrar Zaidi
Sher
kitaab-e-ishq me.n har aah ek aayat hai
par aa.nsu.o.n ko huruuf-e-muqatti.aat samajh
Umair Najmi
Sher
Sifar Sharma
Sher
dahkii hai aag dil me.n pa.De ishtiyaaq kii
tere sivaa.e kis se ho is kaa ilaaj aaj
Insha Allah Khan Insha
Sher
aisii mire KHazaana-e-dil me.n bharii hai aag
favvaara chhuuTtaa hai mizha se sharaar kaa
Joshish Azimabadi
Sher
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Hami Gorakhpuri
Sher
tuu mere saamne baiThaa hai aah tis par bhii
phirii hu.ii hai tirii ehtiraaz kii gardan
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ye chaar din ke tamaashe hai.n aah duniyaa ke
rahaa jahaa.n me.n sikandar na aur na jam baaqii