SEARCH RESULTS
Showing search results for "हया-रेज़"
Sher MATCHES FOR "हया-रेज़"
Sher
uf vo maasuum o hayaa-rez nigaahe.n jin par
qatl ke baad bhii ilzaam nahii.n aataa hai
Anwar Sabri
Sher
roz-o-shab-e-hayaat ke KHaano.n me.n baa.nT kar
qisto.n me.n KHud-kushii ke vasaa.il hu.e hai.n log
Mahboob Anwar
Sher
ai parindo yaad kartii hai tumhe.n paagal havaa
roz ik nauha sar-e-shaaKH shajar suntaa huu.n mai.n
Irfan Siddiqi
Sher
ko.ii hayaat zamaane ko hai aziiz bahut
ko.ii hayaat hai ki roz roz martii hai
Azhar Hashmi Sabqat
Sher
ik naam kyaa likhaa tiraa saahil kii ret par
phir umr bhar havaa se mirii dushmanii rahii
Shakil Akhtar
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHushii visaal kii ab hai na ra.nj-e-tanhaa.ii
ye kis maqaam pe mujh ko hayaat le aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
Gam-e-hayaat o Gam-e-dost kii kashaakash me.n
ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii ga.e
Aziz Hamid Madni
Sher
an-ginat KHuunii masaa.il kii havaa aisii chalii
ranj-o-Gam kii gard me.n lipTaa har ik chehra milaa
Sajid Khairabadi
Sher
diivaangii merii ke tahayyur me.n shab-o-roz
hai halqa-e-zanjiir se zindaa.n hama-tan-chashm
Nazeer Akbarabadi
Sher
havaa ke ho.nT khule.n saa.at-e-kalaam to aa.e
ye ret jaisaa badan aa.ndhiyo.n ke kaam to aa.e
Ghalib Ayaz
Sher
raaz-e-hayaat puuchh le KHizr-e-KHajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se