SEARCH RESULTS
Showing search results for "हर्फ़ों"
Sher MATCHES FOR "हर्फ़ों"
Sher
iz.haar pe bhaarii hai KHamoshii kaa takallum
harfo.n kii zabaa.n aur hai aa.nkho.n kii zabaa.n aur
Haneef akhgar
Sher
kis ko fursat hai jo harfo.n kii haraarat samjhaa.e
baat aasaanii tak aa.e to sabhii tak pahu.nche
Navin C. Chaturvedi
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
harfo.n ke mile jo.D ba.Dhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand me.n baKHiya hai qalam kaa
Naseem Dehlvi
Sher
kha.Daa huu.n aaj bhii roTii ke chaar harf liye
savaal ye hai kitaabo.n ne kyaa diyaa mujh ko
Nazeer Baaqri
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
hai du.aa yaad magar harf-e-du.aa yaad nahii.n
mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
aurat ho tum to tum pe munaasib hai chup raho
ye bol KHaandaan kii izzat pe harf hai
Syeda Arshia Haq
Sher
vo harf-e-raaz ki mujh ko sikhaa gayaa hai junuu.n
KHudaa mujhe nafas-e-jabra.iil de to kahuu.n
Allama Iqbal
Sher
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadaaqat likhnaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhnaa
Habib Jalib
Sher
hai harf harf zaKHm kii suurat khilaa hu.aa
fursat mile to tum miraa diivaan dekhnaa
Zubair Farooq
Sher
Saleem Ahmed
Sher
harf ko lafz na kar lafz ko iz.haar na de
ko.ii tasviir mukammal na banaa us ke liye
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.n pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
kis vaaste likkhaa hai hathelii pe miraa naam
mai.n harf-e-Galat huu.n to miTaa kyuu.n nahii.n dete
Hasrat Jaipuri
Sher
ham KHud bhii hu.e naadim jab harf-e-du.aa niklaa
samjhe the jise patthar vo shaKHs KHudaa niklaa