SEARCH RESULTS
Showing search results for "हलाक"
Sher MATCHES FOR "हलाक"
Sher
aalam ko ik halaak kiyaa us ne 'mus.hafii'
duniyaa me.n is qadar bhii ko.ii KHuub-ruu na ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mat halaak itnaa karo mujh ko malaamat kar kar
nek-naamo tumhe.n kyaa mujh se hai bad-naam se kaam
Hasrat Azimabadi
Sher
kachre se uThaa.ii jo kisii tifl ne roTii
phir halq se mere ko.ii luqma nahii.n utraa
Badr Muneer
Sher
halaal rizq kaa matlab kisaan se puuchho
pasiina ban ke badan se lahuu nikaltaa hai
Aadil Rasheed
Sher
raqiib qatl hu.aa us kii teG-e-abruu se
haraam-zaada thaa achchhaa hu.aa halaal hu.aa
Aagha Akbarabadi
Sher
buraa hii kyaa hai baratnaa puraanii rasmo.n kaa
kabhii sharaab kaa piinaa bhii kyaa halaal na thaa
Hafeez Jaunpuri
Sher
milegaa Gair bhii un ke gale ba-shauq ai dil
halaal karne mujhe iid kaa hilaal aayaa
Shad Azimabadi
Sher
zaahid sharaab-e-naab ho yaa baada-e-tuhuur
piine hii par jab aa.e haraam o halaal kyaa
Hafeez Jaunpuri
Sher
kyaa sharaab-e-naab ne pastii se paayaa hai uruuj
sar cha.Dhii hai halq se niiche utar jaane ke ba.ad
Riyaz Khairabadi
Sher
janaab-e-shaiKH ko suujhe na phir haraam o halaal
abhii piye.n jo mile muft kii sharaab kahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
vaa.iz ye mai-kada hai na masjid ki is jagah
zikr-e-halaal par bhii hai fatvaa haraam kaa
Qalaq Merathi
Sher
fatvaa diyaa hai muftii-e-abr-e-bahaar ne
tauba kaa KHuun baada-kasho.n ko halaal hai
Jaleel Manikpuri
Sher
utre.nge kis ke halq se ye dil-KHaraash ghuu.nT
kis ko payaam duu.n ki mire saath aa ke pii
Hafeez Jalandhari
Sher
uTThii hai chashm-e-saaqii-e-mai-KHaana bazm par
ye vaqt vo nahii.n ki halaal-o-haraam dekh