SEARCH RESULTS
Showing search results for "हल्क़ा-हा-ए-जाल"
Sher MATCHES FOR "हल्क़ा-हा-ए-जाल"
Sher
puuchhaa hai haal-e-zaar to sun lo KHataa-mu.aaf
kuchh baat mere ho.nTo.n me.n hai kuchh zabaan me.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kisii ke ishq me.n ye haal-e-zaar rahtaa hai
sukuun paa ke bhii dil be-qaraar rahtaa hai
Naseem Shahjahanpuri
Sher
hu.aa hai qarya-e-jaa.n me.n ye saaneha kaisaa
mire vajuud ke andar hai zalzala kaisaa
Arman Najmi
Sher
aaj tak yaad hai kaifiyyat-e-jaa.n tere huzuur
sar se paa tak vo miraa dast-e-du.aa ho jaanaa
Shaz Tamkanat
Sher
kyaa jaane kis KHayaal se chho.Daa pa haal-e-zaar
mujh par ba.Daa karam hai mire chaarasaaz kaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
sukuun-e-qalb to kiyaa hai qaraar-e-jaa.n bhii luTaa
tumhaarii yaad bhii aa.ii to raahzan kii tarah
Athar Nadir
Sher
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanaa
ki KHushii se mar na jaate agar e'tibaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
Mehdi Ali Khan Zaki Lakhnavi
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
jaataa huu.n suu-e-vaadii-e-Gurbat ba-haal-e-zaar
ahl-e-vatan mu.aaf ho meraa kahaa-sunaa
Unknown
Sher
hai ye duniyaa jaa-e-ibrat KHaak se insaan kii
ban ga.e kitne subuu kitne hii paimaane hu.e
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
vird-e-ism-e-zaat kholaa chaahtaa hai ye girah
mere dil par daa.nt hai allaah kii tashdiid kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
mirii qindiil-e-jaa.n jaltii hai shab bhar
zaraa apnii bhii to ruudaad-e-shab likh
Abdussamad ’Tapish’
Sher
jalaa ke mish.al-e-jaa.n ham junuu.n-sifaat chale
jo ghar ko aag lagaa.e hamaare saath chale