SEARCH RESULTS
Showing search results for "हवस"
Sher MATCHES FOR "हवस"
Sher
mai.n vo sahraa jise paanii kii havas le Duubii
tuu vo baadal jo kabhii TuuT ke barsaa hii nahii.n
Sultan Akhtar
Sher
tiir khaane kii havas hai to jigar paidaa kar
sarfaroshii kii tamannaa hai to sar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
ahl-e-havas to KHair havas me.n hu.e zaliil
vo bhii hu.e KHaraab, mohabbat jinho.n ne kii
Ahmad Mushtaq
Sher
ik silsila havas kaa hai insaa.n kii zindagii
is ek musht-e-KHaak ko Gam do-jahaa.n ke hai.n
Chakbast Braj Narayan
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
aa.nkh kii ye ek hasrat thii ki bas puurii hu.ii
aa.nsu.o.n me.n bhiig jaane kii havas puurii hu.ii
Shahryar
Sher
baaqii na dil me.n ko.ii bhii yaa rab havas rahe
chaudah baras ke sin me.n vo laakho.n baras rahe
Ameer Minai
Sher
saaqii ga.ii bahaar rahii dil me.n ye havas
tuu minnato.n se jaam de aur mai.n kahuu.n ki bas
Mohammad Rafi Sauda
Sher
sab ko duniyaa kii havas KHvaar liye phirtii hai
kaun phirtaa hai ye murdaar liye phirtii hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
jis kii havas ke vaaste duniyaa hu.ii aziiz
vaapas hu.e to us kii mohabbat KHafaa milii
Saqi Faruqi
Sher
kuchh ho rahegaa ishq-o-havas me.n bhii imtiyaaz
aayaa hai ab mizaaj tiraa imtihaan par
Meer Taqi Meer
Sher
havas ne to.D dii barso.n kii saadhnaa merii
gunaah kyaa hai ye jaanaa magar gunaah ke ba.ad