SEARCH RESULTS
Showing search results for "हवा-ख़्वाह"
Sher MATCHES FOR "हवा-ख़्वाह"
Sher
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
Munawar Khan Ghafil
Sher
sab ko duniyaa kii havas KHvaar liye phirtii hai
kaun phirtaa hai ye murdaar liye phirtii hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
un ko ai narm havaa KHvaab-e-junuu.n se na jagaa
raat mai-KHaane kii aa.e hai.n guzaare hu.e log
Aziz Hamid Madni
Sher
nii.nd kaa us ko nasha ham ko jagaane kii havas
KHvaab me.n aate hu.e nii.nd churaate hu.e ham
Zia Zameer
Sher
KHvaab jitne dekhne hai.n aaj saare dekh le.n
kyaa bharosa kal kahaa.n paagal havaa le jaa.egii
Aashufta Changezi
Sher
zamaana guzraa havaa phir se yaad aane lagaa
na jaane kaun mujhe KHvaab phir dikhaane lagaa
Amber Waseem Allahabadi
Sher
phe.nkaa thaa kis ne sa.ng-e-havas raat KHvaab me.n
phir Dhuu.nDhtii hai nii.nd usii pichhle pahr ko
Aslam Aazad
Sher
khulaa makaan hai har ek zindagii 'aazar'
havaa ke saath dariicho.n se KHvaab aate hai.n
Balwan Singh Azar
Sher
jo shab ko KHvaab me.n aayaa vo chashma-e-haivaa.n
bahaa.e chashm ne ro ro ke KHvaab me.n dariyaa
Don Desilva Fitrat
Sher
havas na jaan tujhe chhuu ke dekhnaa ye hai
tujhe hii dekh rahe hai.n ki KHvaab dekhte hai.n
Arif Imam
Sher
mai.n apne vaqt me.n apnii ridaa me.n rahtaa huu.n
aur apne KHvaab kii aab-o-havaa me.n rahtaa huu.n
Ali Akbar Abbas
Sher
Bashir Badr
Sher
zaahid kaa dil na KHaatir-e-mai-KHvaar to.Diye
sau baar to ye kiijiye sau baar to.Diye
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ye raat aisii havaa.e.n kahaa.n se laatii hai
ki KHvaab phuulte hai.n aur zaKHm phalte hai.n
Ashfaq Amir
Sher
ajiib KHvaab thaa ta.abiir kyaa hu.ii us kii
ki ek dariyaa havaa.o.n ke ruKH pe bahtaa thaa