SEARCH RESULTS
Showing search results for "हस्ती"
Sher MATCHES FOR "हस्ती"
Sher
pyaar kaa pahlaa KHat likhne me.n vaqt to lagtaa hai
na.e parindo.n ko u.Dne me.n vaqt to lagtaa hai
Hastimal Hasti
Sher
Fani Badayuni
Sher
kuchh aur sabaq ham ko zamaane ne sikhaa.e
kuchh aur sabaq ham ne kitaabo.n me.n pa.Dhe the
Hastimal Hasti
Sher
Unknown
Sher
ba.az auqaat kisii aur ke milne se 'adam'
apnii hastii se mulaaqaat bhii ho jaatii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
aashiq kii bhii hastii hai duniyaa me.n ajab hastii
zinda hai to rusvaa hai mar jaa.e to afsaana
Hayat Amrohvi
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
dil me.n jo mohabbat kii raushnii nahii.n hotii
itnii KHuubsuurat ye zindagii nahii.n hotii
Hastimal Hasti
Sher
vo jo qisse me.n thaa shaamil vahii kahtaa hai mujhe
mujh ko ma.aluum nahii.n yaar ye qissa kyaa hai
Hastimal Hasti
Sher
Shabnam Rumani
Sher
kahii.n KHuluus kahii.n dostii kahii.n pe vafaa
ba.De qariine se ghar ko sajaa ke rakhte hai.n
Hastimal Hasti
Sher
kis se shikva kare.n viiraanii-e-hastii kaa 'hayaat'
ham ne KHud apnii tamannaa.o.n ko jiine na diyaa
Masooda Hayat
Sher
baiThte jab hai.n khilaune vo banaane ke liye
un se ban jaate hai.n hathiyaar ye qissa kyaa hai
Hastimal Hasti
Sher
hame.n pasand nahii.n ja.ng me.n bhii makkaarii
jise nishaane pe rakkhe.n bataa ke rakhte hai.n