SEARCH RESULTS
Showing search results for "हादसा"
Sher MATCHES FOR "हादसा"
Sher
mujhe KHabar thii miraa intizaar ghar me.n rahaa
ye haadsa thaa ki mai.n umr bhar safar me.n rahaa
Saqi Faruqi
Sher
ek hii haadsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahii.n kahii ga.ii baat nahii.n sunii ga.ii
Jaun Eliya
Sher
zindagii ik haadsa hai aur kaisaa haadsa
maut se bhii KHatm jis kaa silsila hotaa nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
hamaare pesh-e-nazar manzile.n kuchh aur bhii thii.n
ye haadsa hai ki ham tere paas aa pahu.nche
Shahzad Ahmad
Sher
'baanii' zaraa sambhal ke mohabbat kaa mo.D kaaT
ik haadsa bhii taak me.n hogaa yahii.n kahii.n
Rajinder Manchanda Bani
Sher
tujh se bichha.Dnaa ko.ii nayaa haadsa nahii.n
aise hazaaro.n qisse hamaarii KHabar me.n hai.n
Aashufta Changezi
Sher
Rajesh Reddy
Sher
bahut dino.n se ko.ii haadsa nahii.n guzraa
kahii.n zamaane ko ham yaad phir na aa jaa.e.n
Rasa Chughtai
Sher
kise KHabar thii ki ye vaaqi.a bhii honaa thaa
ki khel khel me.n ik haadsa bhii honaa thaa
Unknown
Sher
roke se kahii.n haadsa-e-vaqt rukaa hai
sho.alo.n se bachaa shahr to shabnam se jalaa hai
Ali Ahmad Jalili
Sher
kuchh nahii.n kaar-e-falak haadsa-paashii ke sivaa
falsafa kuchh nahii.n alfaaz-taraashii ke sivaa
Akbar Allahabadi
Sher
na socho tark-e-ta.alluq ke mo.D par ruk kar
qadam ba.Dhaa.o ki ye haadsa zaruurii hai
Musavvir Sabzwari
Sher
ye haadsa hai ki naaraaz ho gayaa suuraj
mai.n ro rahaa thaa lipaT kar KHud apne saa.e se
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Saqi Faruqi
Sher
ye haadsa to hu.aa hii nahii.n hai tere ba.ad
Gazal kisii ko kahaa hii nahii.n hai tere ba.ad
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
ye haadsa bhii tire shahr me.n hu.aa hogaa
tamaam shahr mujhe Dhuu.nDhtaa phiraa hogaa