SEARCH RESULTS
Showing search results for "हिजाब-ए-पास-ए-वज़ा"
Sher MATCHES FOR "हिजाब-ए-पास-ए-वज़ा"
Sher
ye paas-e-dii.n tiraa hai sab us vaqt tak ki shaiKH
dekhaa nahii.n hai tuu ne vo kaafir fara.ng kaa
Qayem Chaandpuri
Sher
dard-e-dil paas-e-vafaa jazba-e-iimaa.n honaa
aadmiyat hai yahii aur yahii insaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
paas-e-aadaab-e-vafaa thaa ki shikasta-paa.ii
be-KHudii me.n bhii na ham had se guzarne paa.e
Raza Hamdani
Sher
gar yahii hai paas-e-aadaab-e-sukuut
kis tarah fariyaad lab tak aa.egii
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
paas-e-pindaar-e-tabii.at dil agar rakh le to kyaa
hai vajuud-e-dard mohkam zabt-e-Gam kar le to kyaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
Akhtar Shirani
Sher
kuchh dard kii shiddat hai kuchh paas-e-mohabbat hai
ham aah to karte hai.n fariyaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kaisii hayaa kahaa.n kii vafaa paas-e-KHalq kyaa
haa.n ye sahii ki aap ko aanaa yahaa.n na thaa
Anwar Dehlvi
Sher
duniyaa kahaa.n thii paas-e-viraasat ke zimn me.n
ik diin thaa so us pe luTaa.e hu.e to hai.n
Hasan Abidi
Sher
paas-e-hayaat kaa KHayaal ham ko bahut buraa lagaa
pas ba-hujuum-e-ma.arka jaan ke be-sipar ga.e
Jaun Eliya
Sher
hijaab-e-abr ruKH-e-mahtaab se chhalkaa
vo apne chehre se parde ko jab haTaane lagaa
Amber Waseem Allahabadi
Sher
ham ne to paas-e-adab me.n banda-parvar kah diyaa
aur vo samjhe ki sach me.n banda-parvar ho ga.e
Manish Shukla
Sher
Abrar Shahjahanpuri
Sher
zo'm-e-tuqaa hijaab-e-tazaahur nifaaq kaa
har jaa raqam hai is me.n bhii izn o qum-e-daroG
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
Qateel Shifai
Sher
pahu.nchaa hai us ke paas ye aa.iina TuuT ke
kis se milaa hai shiisha-e-dil ham se phuuT ke