SEARCH RESULTS
Showing search results for "हिसार"
Sher MATCHES FOR "हिसार"
Sher
aaKHir ko ruuh to.D hii degii hisaar-e-jism
kab tak asiir KHushbuu rahegii gulaab me.n
Aanis Moin
Sher
ufuq ke aaKHirii manzar me.n jagmagaa.uu.n mai.n
hisaar-e-zaat se nikluu.n to KHud ko paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
huduud-e-vaqt se baahar ajab hisaar me.n huu.n
mai.n ek lamha huu.n sadiyo.n ke intizaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
mire vajuud ko parchhaa.iyo.n ne to.D diyaa
mai.n ik hisaar thaa tanhaa.iyo.n ne to.D diyaa
Fazil Jamili
Sher
basii hai suukhe gulaabo.n kii baat saa.nso.n me.n
ko.ii KHayaal kisii yaad ke hisaar me.n hai
Khalida Uzma
Sher
hisaar-e-zaat ke diivaar-o-dar me.n qaid rahe
tamaam umr ham apne hii ghar me.n qaid rahe
Hafeez Banarasi
Sher
mai.n ek lamha thaa aur nii.nd ke hisaar me.n thaa
phir ek roz kisii KHvaab ne jagaayaa mujhe
Aziz Nabeel
Sher
Bashir Mehtaab
Sher
had-bandii-e-KHizaa.n se hisaar-e-bahaar tak
jaa.n raqs kar sake to ko.ii faasla nahii.n
Saqi Faruqi
Sher
ab TuuTne hii vaalaa hai tanhaa.ii kaa hisaar
ik shaKHs chiiKHtaa hai samundar ke aar-paar
Adil Mansuri
Sher
kabhii na TuuTne vaalaa hisaar ban jaa.uu.n
vo merii zaat me.n rahne kaa faisla to kare
Najmus Saqib
Sher
tere bin hayaat kii soch bhii gunaah thii
ham qariib-e-jaa.n tiraa hisaar dekhte rahe
Quaiser Khalid
Sher
utrii hu.ii hai dhuup badan ke hisaar me.n
qurbat ke faaslo.n kaa safar kaaTne ke ba.ad
zafar iqbal zafar
Sher
zaraa jo tez chale to ko.ii bhii saath na thaa
hisaar-e-fikr hii bas apnaa paasbaan hu.aa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
yaado.n ne le liyaa mujhe apne hisaar me.n
meraa vajuud haafiza ban kar suka.D gayaa
Ibraheem Hosh
Sher
hisaar-e-gosh-e-samaa.at kii dastaras me.n kahaa.n
tuu vo sadaa jo faqat jism ko sunaa.ii de
Musavvir Sabzwari
Sher
tamaam dard ke rishto.n se vaasta na rahe
hisaar-e-jism se nikluu.n to be-sadaa ho jaa.uu.n
Khaleel Tanveer
Sher
Moid Rasheedi
Sher
har shaKHs ko fareb-e-nazar ne kiyaa shikaar
har shaKHs gum hai gumbad-e-jaa.n ke hisaar me.n