SEARCH RESULTS
Showing search results for "हुक्म-ए-सानी"
Sher MATCHES FOR "हुक्म-ए-सानी"
Sher
dil-e-bebaak kaa maalik huu.n mujhe KHauf nahii.n
haakim-e-vaqt ke hukm-e-rasan-o-zindaa.n se
Zubair Ahmad Saani
Sher
mai.n din ko shab se bhalaa kyuu.n alag karuu.n saanii
ye tiirgii bhii to ik raushnii kaa hissa hai
Mahender Kumar Sani
Sher
piirii hu.ii shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaa.er huu.n meraa misra-e-saanii laTak gayaa
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
kho ga.ii hind kii firdaus-nishaanii 'akbar'
kaash ho jaa.e ko.ii 'milton'-e-saanii paidaa
Akbar Allahabadi
Sher
sunnat hai ko.ii hijrat-e-saanii bhalaa bataa.o
jaataa hai ko.ii apne madiine ko chho.D kar
Liyaqat Ali Aasim
Sher
musavviro.n ne qalam rakh diye hai.n haatho.n se
banaave.n aa.ine me.n apnaa naqsh-e-saanii aap
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
baat ye hai ki sabhii bhaa.ii mire dushman hai.n
mas.ala ye hai ki mai.n yuusuf-e-saanii bhii nahii.n
Khalid Karrar
Sher
sher kii tarah jo hote hai.n mukammal kuchh log
vo binaa misra-e-saanii ke nahii.n hote hai.n
Nazir Wahid
Sher
hai aks-e-aa.ina dil me.n kisii bilqiis-e-saanii kaa
tasavvur hai miraa ustaad bahzaad aur maanii kaa
Dattatriya Kaifi
Sher
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
kyuu.nkar karuu.n mai.n tark sharaab-o-kabaab ko
zaahid hai yaad hukm-e-kuluu-vashrabuu mujhe
Zeba
Sher
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
Allama Iqbal
Sher
kashtii-e-mai ko hukm-e-ravaanii bhii bhej do
jab aag bhej dii hai to paanii bhii bhej do
Josh Malihabadi
Sher
hai hukm-e-aam ishq alaihis-salaam kaa
puujo buto.n ko bhed kuchh in me.n KHudaa ke hai.n
Ahmad Husain Mail
Sher
hukm-e-sultaan kii taa'miil tumhaare liye hai
mai.n nahii.n jaa rahaa chaaho to ye sar le jaa.o