SEARCH RESULTS
Showing search results for "हैरत-सरा-ए-इश्क़"
Sher MATCHES FOR "हैरत-सरा-ए-इश्क़"
Sher
saraa-e-ishq me.n baiThe hu.e hai.n dil vaale
aur ek aaKHirii tohmat ke intizaar me.n hai.n
Aziz Nabeel
Sher
ma.aal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham
badal ga.e to badalne pe itnii hairat kyaa
Iftikhar Arif
Sher
saraa-e-dil me.n jagah de to kaaT luu.n ik raat
nahii.n hai shart ki mujh ko shariik-e-KHvaab banaa
Hasan Naim
Sher
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
kaun uThaa.e ishq ke anjaam kii jaanib nazar
kuchh asar baaqii hai.n ab tak hairat-e-aaGaaz ke
Saba Akbarabadi
Sher
is me.n nahii.n hai daKHl ko.ii KHauf o hirs kaa
is kii jazaa, na is kii sazaa hai, ye ishq hai
Irfan Sattar
Sher
kaam aa.egii mizaaj-e-ishq kii aashuftagii
aur kuchh ho yaa na ho ha.ngaama-e-mahfil sahii
Saba Akbarabadi
Sher
taaziir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib
ba.Dhtaa hai aur zauq-e-gunah yaa.n sazaa ke ba.ad
Altaf Hussain Hali
Sher
itnii to diid-e-ishq kii taasiir dekhiye
jis samt dekhiye tirii tasviir dekhiye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kaafir-e-ishq huu.n ai shaiKH pe zinhaar nahii.n
terii tasbiih ko nisbat mirii zunnaar ke saath
Hasrat Azimabadi
Sher
hazrat-e-ishq ne dono.n ko kiyaa KHaana-KHaraab
barhaman but-kada aur shaiKH haram bhuul ga.e
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
is jahaa.n me.n sifat-e-ishq se mausuuf hai.n ham
na karo aib hamaare hunar-e-zaatii kaa
Hasrat Azimabadi
Sher
is shaan kaa aashufta-o-hairaa.n na milegaa
aa.iine se fursat ho to tasviir-e-'sabaa' dekh
Saba Akbarabadi
Sher
kahaa.n ham kahaa.n vasl-e-jaanaa.n kii 'hasrat'
bahut hai unhe.n ik nazar dekh lenaa
Hasrat Mohani
Sher
Hasrat Mohani
Sher
junuu.n hotaa hai chhaa jaatii hai hairat
kamaal-e-aql ik diivaana-pan hai