SEARCH RESULTS
Showing search results for ".apkj"
Sher MATCHES FOR ".apkj"
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
bataa.uu.n aap ko marne ke baa'd kyaa hogaa
polaa.o khaa.e.nge ahbaab faatiha hogaa
Akbar Allahabadi
Sher
aap ko aataa rahaa mere sataane kaa KHayaal
sulh se achchhii rahii mujh ko la.Daa.ii aap kii
Hasrat Mohani
Sher
aap ko mere ta.aaruf kii zaruurat kyaa hai
mai.n vahii huu.n ki jise aap ne chaahaa thaa kabhii
Mazhar Imam
Sher
meh.ndii lagaane kaa jo KHayaal aayaa aap ko
suukhe hu.e daraKHt hinaa ke hare hu.e
Haidar Ali Aatish
Sher
haa.n aap ko dekhaa thaa mohabbat se hamii.n ne
jii saare zamaane ke gunahgaar hamii.n the
Ehsan Danish
Sher
da.avaa bahut ba.Daa hai riyaazii me.n aap ko
tuul-e-shab-e-firaaq ko to naap diijiye
Akbar Allahabadi
Sher
mai.n dekhtaa huu.n aap ko hadd-e-nigaah tak
lekin mirii nigaah kaa kyaa e'tibaar hai
Seemab Akbarabadi
Sher
jis kii KHaatir mai.n bhulaa baiThaa thaa apne aap ko
ab usii ke bhuul jaane kaa hunar bhii dekhnaa
Ata ul Haq Qasmi
Sher
mai.n to apne aap ko us din bahut achchhii lagii
vo jo thak kar der se aayaa use kaisaa lagaa
Zehra Nigaah
Sher
ham ne ba-sad KHuluus pukaaraa hai aap ko
ab dekhnaa hai kitnii kashish hai KHuluus me.n
Unknown
Sher
liijiye bulaa liyaa aap ko KHayaal me.n
ab to dekhiye hame.n ko.ii dekhtaa nahii.n
Shamim Karhani
Sher
aap ko KHuun ke aa.nsuu hii rulaanaa hogaa
haal-e-dil kahne ko ham apnaa agar baiTh ga.e
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
yuu.nhii har shaam agar aap ko ham yaad rahe.n
sohbate.n garm rahe.n mahfile.n aabaad rahe.n
Unknown
Sher
meh.ndii mire lahuu kii mubaarak ho aap ko
ra.ng-e-hinaa hai is me.n aur buu-e-vafaa bhii hai
Unknown
Sher
karnaa hai aap ko jo na.e raasto.n kii khoj
sab jis taraf na jaa.e.n udhar jaanaa chaahiye
Anis Dehlavi
Sher
mu.nh aap ko dikhaa nahii.n saktaa hai sharm se
is vaaste hai piiTh idhar aaftaab kii