SEARCH RESULTS
Showing search results for ".chtq"
Sher MATCHES FOR ".chtq"
Sher
yuu.n pukaare hai.n mujhe kuucha-e-jaanaa.n vaale
idhar aa be abe o chaak-garebaa.n vaale
Munshi Anwar Husain Tasleem
Sher
sunegaa kaun merii chaak-daamaanii kaa afsaana
yahaa.n sab apne apne pairahan kii baat karte hai.n
Kaleem Aajiz
Sher
tuu mujhe bante biga.Dte hu.e ab Gaur se dekh
vaqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe
Khursheed Rizvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
mai.n to chaak pe kuuza-gar ke haath kii miTTii huu.n
ab ye miTTii dekh khilaunaa kaise bantii hai
Zeb Ghauri
Sher
ab dekh le ki siina bhii taaza hu.aa hai chaak
phir ham se apnaa haal dikhaayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
abhii to chaak pe jaarii hai raqs miTTii kaa
abhii kumhaar kii niyyat badal bhii saktii hai
Aleena Itrat
Sher
Fuzail Jafri
Sher
kuredtaa hai bahut raakh mere maazii kii
mai.n chuuk jaa.uu.n to vo u.ngliyaa.n jalaa legaa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
siina dahak rahaa ho to kyaa chup rahe ko.ii
kyuu.n chiiKH chiiKH kar na galaa chhiil le ko.ii
Jaun Eliya
Sher
ab ke junuu.n me.n faasla shaayad na kuchh rahe
daaman ke chaak aur girebaa.n ke chaak me.n
Meer Taqi Meer
Sher
Mohammad Alvi
Sher
hamesha mai.n ne garebaa.n ko chaak chaak kiyaa
tamaam umr rafuugar rahe rafuu karte
Haidar Ali Aatish
Sher
Jamuna Parsad Rahi
Sher
kaisaa chaman ki ham se asiiro.n ko man.a hai
chaak-e-qafas se baaG kii diivaar dekhnaa