SEARCH RESULTS
Showing search results for ".coak"
Sher MATCHES FOR ".coak"
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
'umr saarii to kaTii 'ishq-e-butaa.n me.n 'momin'
aaKHirii vaqt me.n kyaa KHaak musalmaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
mat sahl hame.n jaano phirtaa hai falak barso.n
tab KHaak ke parde se insaan nikalte hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
kyaa husn ne samjhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham KHaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
kitne muflis ho ga.e kitne tava.ngar ho ga.e
KHaak me.n jab mil ga.e dono.n baraabar ho ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
ham jaante to ishq na karte kisuu ke saath
le jaate dil ko KHaak me.n is aarzuu ke saath
Meer Taqi Meer
Sher
ghasiiTte hu.e KHud ko phiroge 'zeb' kahaa.n
chalo ki KHaak ko de aa.e.n ye badan us kaa
Zeb Ghauri
Sher
aasaa.n na samajhiyo tum naKHvat se paak honaa
ik umr kho ke ham ne siikhaa hai KHaak honaa
Meer Hasan
Sher
ik silsila havas kaa hai insaa.n kii zindagii
is ek musht-e-KHaak ko Gam do-jahaa.n ke hai.n