SEARCH RESULTS
Showing search results for ".dafu"
Sher MATCHES FOR ".dafu"
Sher
saat sanduuqo.n me.n bhar kar dafn kar do nafrate.n
aaj insaa.n ko mohabbat kii zaruurat hai bahut
Bashir Badr
Sher
dafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz ko
aur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
apnii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se KHalq ko kyuu.n teraa ghar mile
Mirza Ghalib
Sher
muTThiyo.n me.n KHaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn
zindagii bhar kii mohabbat kaa silaa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
na KHvaab hii se jagaayaa na intizaar kiyaa
ham is daf.a bhii chale aa.e chuum kar us ko
Abbas Tabish
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
Zafar Iqbal
Sher
sher pa.Dhte hu.e ye tum ne kabhii sochaa hai
sher kahte hu.e mai.n kitnii dafa.a martaa huu.n
Tripurari
Sher
armaa.n tamaam umr ke siine me.n dafn hai.n
ham chalte phirte log mazaaro.n se kam nahii.n
Unknown
Sher
mai.n apne jism ke andar na dafn ho jaa.uu.n
mujhe vajuud ke girte hu.e makaa.n se nikaal