SEARCH RESULTS
Showing search results for ".dip"
Sher MATCHES FOR ".dip"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
dekhuu.n tire haatho.n ko to lagtaa hai tire haath
mandir me.n faqat diip jalaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye bhii ejaaz mujhe ishq ne baKHshaa thaa kabhii
us kii aavaaz se mai.n diip jalaa saktaa thaa
Ahmad Khayal
Sher
diip jalte hai.n dilo.n me.n ki chitaa jaltii hai
ab kii diivaalii me.n dekhe.nge ki kyaa hotaa hai
Makhdoom Mohiuddin
Sher
Khalid Moin
Sher
unhe.n na toliye tahziib ke taraazuu me.n
gharo.n me.n un ke na chuulhe na diip jalte hai.n
Sada Ambalvi
Sher
kitne diip bujhte hai.n kitne jalte hai.n
azm-e-zindagii le kar phir bhii log chalte hai.n
Sahba lakhnavi
Sher
palko.n pe Gam-e-hijr ke sab diip jalaa.e
nii.ndo.n ke shabistaan me.n bhaarii mirii aa.nkhe.n
Isma Hadia
Sher
anginat safiino.n me.n diip jagmagaate hai.n
raat ne luTaayaa hai ra.ng-o-nuur paanii par
aqeel nomani
Sher
Nisar Itavi
Sher
taraashiye to hame.n 'miir' kiijiye varna
hamaare naam ke piichhe ye 'diip' kaafii hai
Deepak Sharma Deep
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh