SEARCH RESULTS
Showing search results for ".ectd"
Sher MATCHES FOR ".ectd"
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
ab mujh ko ehtimaam se kiije supurd-e-KHaak
uktaa chukaa huu.n jism kaa malba uThaa ke mai.n
Dilawar Ali Aazar
Sher
Afzal Khan
Sher
Nushur Wahidi
Sher
aashiq kaa baa.nkpan na gayaa baad-e-marg bhii
taKHte pe Gusl ke jo liTaayaa aka.D gayaa
Ameer Minai
Sher
puraane ghar kii shikasta chhato.n se uktaa kar
na.e makaan kaa naqsha banaataa rahtaa huu.n
Asad Badayuni
Sher
zamaane se ghabraa ke simTe the KHud me.n
magar ab to KHud se bhii uktaa rahe hai.n
Manish Shukla
Sher
ziist kii yaksaaniyat se ta.ng aa jaate hai.n sab
ek din tuu bhii mirii baato.n se uktaa jaa.egaa
Sarfaraz Khalid
Sher
kis samt jaa rahaa hai zamaana kahaa na jaa.e
uktaa ga.e hai.n log fasaana kahaa na jaa.e
Mazhar Imam
Sher
raaz-o-niyaaz me.n bhii aka.D-fuu.n nahii.n ga.ii
vo KHat bhii likh rahaa hai to chaalaan kii tarah
Sarfaraz Shahid
Sher
Mukesh Aalam
Sher
mullaa tirii aka.D se ye hone lagaa gumaan
jaise KHudaa zamii.n pe numuudaar ho gayaa
Dr. Jafar Askari
Sher
kisii ke aqd me.n rahtii nahii.n hai luulii-e-dahr
ye qahba roz-e-azal se hai kuchh talaaq-nasiib