SEARCH RESULTS
Showing search results for ".enuu"
Sher MATCHES FOR ".enuu"
Sher
kam-sinii me.n to hasii.n ahd-e-vafaa karte hai.n
bhuul jaate hai.n magar sab jo shabaab aataa hai
Anu raz
Sher
ye kaise log hai.n ye kaun sii 'adaavat hai
zaraa sii baat me.n jo KHaandaan tak jaa.e.n
Annu Rizvi
Sher
hame.n KHabar na hu.ii aur raat aa pahu.nchii
kahaa.n se dekho kahaa.n tak hayaat aa pahu.nchii
Annu Rizvi
Sher
kuchh aisaa pyaas kaa Galba thaa har taraf taarii
har ek aa.nkh se lab tak furaat aa pahu.nchii
Annu Rizvi
Sher
yahaa.n Gariib ko sab kuchh to de diyaa us ne
zamii.n bichhaa.e hai aur aasmaan o.Dhe hai
Annu Rizvi
Sher
har gaam pe dushvaarii har mo.D pe pahre hai.n
ab aap se milne ke din kitne sunahre hai.n
Annu Rizvi
Sher
use hunar hai nigaaho.n se baat karne kaa
mai.n be-zabaan saa lagtaa huu.n ye zabaan liye
Annu Rizvi
Sher
Annu Rizvi
Sher
mere us ke darmiyaa.n kuchh bad-gumaanii aa ga.ii
phir haqiiqat me.n vahii jhuuTii kahaanii aa ga.ii
Annu Rizvi
Sher
mai.n to niklaa thaa charaaGo.n ko jalaane ke liye
log kam-zarf the daaman ko bachaa kar bhaage
Annu Rizvi
Sher
hamaare us ke darmiyaa.n ye kaisaa faasla rahaa
use bhii sab KHabar rahii hame.n bhii sab pataa rahaa