SEARCH RESULTS
Showing search results for ".epez"
Sher MATCHES FOR ".epez"
Sher
maslahat-aamez hote hai.n siyaasat ke qadam
tuu na samjhegaa siyaasat tuu abhii naadaan hai
Dushyant Kumar
Sher
taalaab to barsaat me.n ho jaate hai.n kam-zarf
baahar kabhii aape se samundar nahii.n hotaa
Ejaz Rahmani
Sher
aap ke qurb se pahle mujhe ma.aluum na thaa
zindagii itnii dil-aavez bhii ho saktii hai
Shakeel Ahmad Ziya
Sher
show-case me.n rakkhaa hu.aa aurat kaa jo but hai
guu.ngaa hii sahii phir bhii dil-aavez bahut hai
Krishn Adeeb
Sher
KHush hu.aa aisaa ki mai.n aape se baahar ho gayaa
yaar kaa milnaa na milnaa sab baraabar ho gayaa
Jaleel Manikpuri
Sher
gum-sum saa kha.Daa hai ko.ii darvaaza-e-dil par
is shaam kaa manzar to dil-aavez bahut hai
Afroz Alam
Sher
tum ne likkhaa hai mire KHat mujhe vaapas kar do
Dar ga.ii.n husn-e-dil-aavez kii rusvaa.ii se
Prem Warbartani
Sher
ik yaqii.n-parvar gumaa.n aur ik hayaat-aamez KHvaab
jaise ko.ii aa.egaa aur uljhane.n le jaa.egaa