SEARCH RESULTS
Showing search results for ".hijb"
Sher MATCHES FOR ".hijb"
Sher
tumhaaraa hijr manaa luu.n agar ijaazat ho
mai.n dil kisii se lagaa luu.n agar ijaazat ho
Jaun Eliya
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
kitnaa aasaa.n thaa tire hijr me.n marnaa jaanaa.n
phir bhii ik umr lagii jaan se jaate jaate
Ahmad Faraz
Sher
bahut dino.n me.n mohabbat ko ye hu.aa ma.aluum
jo tere hijr me.n guzrii vo raat raat hu.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
ishq bhii ho hijaab me.n husn bhii ho hijaab me.n
yaa to KHud aashkaar ho yaa mujhe aashkaar kar
Allama Iqbal
Sher
Nooh Narvi
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
mirii zindagii to guzrii tire hijr ke sahaare
mirii maut ko bhii pyaare ko.ii chaahiye bahaana
Jigar Moradabadi
Sher
kahaa.n ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhii to log taraste hai.n zindagii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
maa.ngaa kare.nge ab se du.aa hijr-e-yaar kii
aaKHir to dushmanii hai asar ko du.aa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
Ibn e Insha
Sher
mumkina faislo.n me.n ek hijr kaa faisla bhii thaa
ham ne to ek baat kii us ne kamaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
us hijr pe tohmat ki jise vasl kii zid ho
us dard pe la.anat kii jo ash.aar me.n aa jaa.e