SEARCH RESULTS
Showing search results for ".hmd"
Sher MATCHES FOR ".hmd"
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
mohabbat kii to ko.ii had, ko.ii sarhad nahii.n hotii
hamaare darmiyaa.n ye faasle, kaise nikal aa.e
Khalid Moin
Sher
had se ba.Dhe jo ilm to hai jahl dosto
sab kuchh jo jaante hai.n vo kuchh jaante nahii.n
Khumar Barabankavi
Sher
had se Takraatii hai jo shai vo palaTtii hai zaruur
KHud bhii ro.e.nge Gariibo.n ko rulaane vaale
Arzoo Lakhnavi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
be-niyaazii had se guzrii banda-parvar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaave.nge kyaa
Mirza Ghalib
Sher
hai taa-hadd-e-imkaa.n ko.ii bastii na bayaabaa.n
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab dikhaa.ii nahii.n detaa
Syed Amin Ashraf
Sher
ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaa.n Gubaar hii Gubaar hai
Shahryar
Sher
vo zulm bhii ab zulm kii had tak nahii.n karte
aaKHir unhe.n kis baat kaa ehsaas hu.aa hai
Naseem Shahjahanpuri
Sher
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat to.D de
kabhii phir us se pyaar kaa KHayaal bhii na aa.egaa
Yaqoob Yawar
Sher
had chaahiye sazaa me.n uquubat ke vaaste
aaKHir gunaahgaar huu.n kaafar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
nazar se hadd-e-nazar tak tamaam taariikii
ye ehtimaam hai ik va.ada-e-sahar ke liye
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na ba.Dhe
ab ye shikva ki sharaafat ne kahii.n kaa na rakhaa