SEARCH RESULTS
Showing search results for ".hoyi"
Sher MATCHES FOR ".hoyi"
Sher
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogii
sunte the vo aa.e.nge sunte the sahar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kaise kah duu.n ki mulaaqaat nahii.n hotii hai
roz milte hai.n magar baat nahii.n hotii hai
Shakeel Badayuni
Sher
Nushur Wahidi
Sher
mohabbat kii to ko.ii had, ko.ii sarhad nahii.n hotii
hamaare darmiyaa.n ye faasle, kaise nikal aa.e
Khalid Moin
Sher
is tarah mere gunaaho.n ko vo dho detii hai
maa.n bahut Gusse me.n hotii hai to ro detii hai
Munawwar Rana
Sher
uqaabii ruuh jab bedaar hotii hai javaano.n me.n
nazar aatii hai un ko apnii manzil aasmaano.n me.n
Allama Iqbal
Sher
haar ho jaatii hai jab maan liyaa jaataa hai
jiit tab hotii hai jab Thaan liyaa jaataa hai
Shakeel Azmi
Sher
safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
hamaare ghar kaa pataa puuchhne se kyaa haasil
udaasiyo.n kii ko.ii shahriyat nahii.n hotii
Waseem Barelvi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
KHamoshii se musiibat aur bhii sa.ngiin hotii hai
ta.Dap ai dil ta.Dapne se zaraa taskiin hotii hai
Shad Azimabadi
Sher
ek mahfil me.n ka.ii mahfile.n hotii hai.n shariik
jis ko bhii paas se dekhoge akelaa hogaa