SEARCH RESULTS
Showing search results for ".hykm"
Sher MATCHES FOR ".hykm"
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
kashtii-e-mai ko hukm-e-ravaanii bhii bhej do
jab aag bhej dii hai to paanii bhii bhej do
Josh Malihabadi
Sher
salaam un pe tah-e-teG bhii jinho.n ne kahaa
jo teraa hukm jo terii razaa jo tuu chaahe
Majeed Amjad
Sher
ab aage is me.n tumhaaraa bhii naam aa.egaa
jo hukm ho to yahii.n chho.D duu.n fasaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
sitaaro aa.o mirii raah me.n bikhar jaa.o
ye meraa hukm hai haalaa.nki kuchh nahii.n huu.n mai.n
Rahat Indori
Sher
kisii ne KHvaab me.n aakar mujhe ye hukm diyaa
tum apne ashk bhii bhejaa karo du.aa.o.n ke saath
Afzal Khan
Sher
raqs karne kaa milaa hukm jo dariyaa.o.n me.n
ham ne KHush ho ke bha.nvar baa.ndh liyaa paa.nv me.n
Qateel Shifai
Sher
ye zulm dekhiye ki gharo.n me.n lagii hai aag
aur hukm hai makiin nikal kar na ghar se aa.e.n
Mohsin Zaidi
Sher
idhar terii mashiyyat hai udhar hikmat rasuulo.n kii
ilaahii aadmii ke baab me.n kyaa hukm hotaa hai
Josh Malihabadi
Sher
mire jurm-e-vafaa kaa faisla kuchh is tarah hogaa
sazaa kaa hukm faurii aur samaa.at sarsarii hogii
Iqbal Azeem
Sher
fuGaa.n ki mujh Gariib ko hayaat kaa ye hukm hai
samajh har ek raaz ko magar fareb khaa.e jaa
Josh Malihabadi
Sher
Charagh Sharma
Sher
kisii darvesh ke hujre se abhii aayaa huu.n
so tire hukm kii taamiil nahii.n karnii mujhe
Ahmad Khayal
Sher
inkisaarii me.n miraa hukm bhii jaarii thaa 'zafar'
arz karte hu.e irshaad bhii KHud mai.n ne kiyaa
Zafar Iqbal
Sher
hai hukm-e-aam ishq alaihis-salaam kaa
puujo buto.n ko bhed kuchh in me.n KHudaa ke hai.n