SEARCH RESULTS
Showing search results for ".iafo"
Sher MATCHES FOR ".iafo"
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
uf vo marmar se taraashaa hu.aa shaffaaf badan
dekhne vaale use taaj-mahal kahte hai.n
Qateel Shifai
Sher
bataa.uu.n aap ko marne ke baa'd kyaa hogaa
polaa.o khaa.e.nge ahbaab faatiha hogaa
Akbar Allahabadi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
aap ko aataa rahaa mere sataane kaa KHayaal
sulh se achchhii rahii mujh ko la.Daa.ii aap kii
Hasrat Mohani
Sher
ik adaa mastaana sar se paa.nv tak chhaa.ii hu.ii
uf tirii kaafir javaanii josh par aa.ii hu.ii
Dagh Dehlvi
Sher
aap ko mere ta.aaruf kii zaruurat kyaa hai
mai.n vahii huu.n ki jise aap ne chaahaa thaa kabhii
Mazhar Imam
Sher
dard ulfat kaa na ho to zindagii kaa kyaa mazaa
aah-o-zaarii zindagii hai be-qaraarii zindagii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
meh.ndii lagaane kaa jo KHayaal aayaa aap ko
suukhe hu.e daraKHt hinaa ke hare hu.e
Haidar Ali Aatish
Sher
aa andaliib mil ke kare.n aah-o-zaariyaa.n
tuu haa.e gul pukaar mai.n chillaa.uu.n haa.e dil
Rind Lakhnavi
Sher
phir dayaar-e-hind ko aabaad karne ke liye
jhuum kar uTTho vatan aazaad karne ke liye
Altaf Mashhadi
Sher
haa.n aap ko dekhaa thaa mohabbat se hamii.n ne
jii saare zamaane ke gunahgaar hamii.n the
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
da.avaa bahut ba.Daa hai riyaazii me.n aap ko
tuul-e-shab-e-firaaq ko to naap diijiye