SEARCH RESULTS
Showing search results for ".iwz"
Sher MATCHES FOR ".iwz"
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
aavaaz de ke dekh lo shaayad vo mil hii jaa.e
varna ye umr bhar kaa safar raa.egaa.n to hai
Muneer Niyazi
Sher
is shahr me.n jiine ke andaaz niraale hai.n
ho.nTo.n pe latiife hai.n aavaaz me.n chhaale hai.n
Javed Akhtar
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
lahja ki jaise sub.h kii KHushbuu azaan de
jii chaahtaa hai mai.n tirii aavaaz chuum luu.n
Bashir Badr
Sher
sabr par dil ko to aamaada kiyaa hai lekin
hosh u.D jaate hai.n ab bhii tirii aavaaz ke saath
Aasi uldani
Sher
jo ko.ii aave hai nazdiik hii baiThe hai tire
ham kahaa.n tak tire pahluu se sarakte jaave.n
Meer Hasan
Sher
arz-o-samaa kahaa.n tirii vus.at ko paa sake
meraa hii dil hai vo ki jahaa.n tuu samaa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
maut KHaamoshii hai chup rahne se chup lag jaa.egii
zindagii aavaaz hai baate.n karo baate.n karo
Ahmad Mushtaq
Sher
arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Sher
aavaaz de rahaa thaa ko.ii mujh ko KHvaab me.n
lekin KHabar nahii.n ki bulaayaa kahaa.n gayaa
Faisal Ajmi
Sher
Saghar Azmi
Sher
andaaz huu-ba-huu tirii aavaaz-e-paa kaa thaa
dekhaa nikal ke ghar se to jho.nkaa havaa kaa thaa