SEARCH RESULTS
Showing search results for ".iyis"
Sher MATCHES FOR ".iyis"
Sher
anjaam ko pahu.nchuu.ngaa mai.n anjaam se pahle
KHud merii kahaanii bhii sunaa.egaa ko.ii aur
Aanis Moin
Sher
andar kii duniyaa se rabt ba.Dhaa.o 'aanis'
baahar khulne vaalii khi.Dkii band pa.Dii hai
Aanis Moin
Sher
ik Duubtii dha.Dkan kii sadaa log na sun le.n
kuchh der ko bajne do ye shahnaa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
aashiq ko dekhte hai.n dupaTTe ko taan kar
dete hai.n ham ko sharbat-e-diidaar chhaan kar
Meer Anees
Sher
hairat se jo yuu.n merii taraf dekh rahe ho
lagtaa hai kabhii tum ne samundar nahii.n dekhaa
Aanis Moin
Sher
kyuu.n khul ga.e logo.n pe mirii zaat ke asraar
ai kaash ki hotii mirii gahraa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
thaa intizaar manaae.nge mil ke diivaalii
na tum hii lauT ke aa.e na vaqt-e-shaam hu.aa
Aanis Moin
Sher
ashk-e-Gam diida-e-pur-nam se sambhaale na ga.e
ye vo bachche hai.n jo maa.n baap se paale na ga.e
Meer Anees
Sher
mumkin hai ki sadiyo.n bhii nazar aa.e na suuraj
is baar a.ndheraa mire andar se uThaa hai
Aanis Moin
Sher
Meer Anees
Sher
tamaam umr jo kii ham se be-ruKHii sab ne
kafan me.n ham bhii aziizo.n se mu.nh chhupaa ke chale
Meer Anees
Sher
aaKHir ko ruuh to.D hii degii hisaar-e-jism
kab tak asiir KHushbuu rahegii gulaab me.n
Aanis Moin
Sher
'aniis' dam kaa bharosaa nahii.n Thahar jaa.o
charaaG le ke kahaa.n saamne havaa ke chale
Meer Anees
Sher
tamaam umr isii ehtiyaat me.n guzrii
ki aashiyaa.n kisii shaaKH-e-chaman pe baar na ho