SEARCH RESULTS
Showing search results for ".jfif"
Sher MATCHES FOR ".jfif"
Sher
mujhe malaal nahii.n terii bevafaa.ii kaa
mai.n apne aap se aa.nkhe.n nahii.n milaa saktaa
Asif Jaanif
Sher
udaas logo.n ke maatho.n ko chuumte rahnaa
unhii ki vaj.h se bar-'aks ho ga.e tum log
Asif Jaanif
Sher
hame.n ban.naa pa.Degaa alien varna mire pyaare
tujhe bhii khaa.egaa aadam mujhe bhii khaa.egaa aadam
Asif Jaanif
Sher
bahisht kyaa hai kisii ke liye nahii.n maa'luum
mire liye tirii aaGosh hii hai KHuld-e-barii.n
Asif Jaanif
Sher
zamiin apnii taraf khii.nchtii hai aur 'jaanif'
falak ne apnaa bichhaayaa hai jaal mere liye
Asif Jaanif
Sher
bahut hii kam ko milii hai.n mohabbate.n 'jaanif'
ziyaada-tar ko to mahbuub ne du'aa dii hai
Asif Jaanif
Sher
mai.n roz kahii.n kho ke lagaataa huu.n sadaa.e.n
mai.n roz mujhe Dhuu.nD ke laataa huu.n kahii.n se