SEARCH RESULTS
Showing search results for ".mnel"
Sher MATCHES FOR ".mnel"
Sher
tujh ko dekhaa na tire naaz-o-adaa ko dekhaa
terii har tarz me.n ik shaan-e-KHudaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
nigaah-e-naaz kii pahlii sii barhamii bhii ga.ii
mai.n dostii ko hii rotaa thaa dushmanii bhii ga.ii
Mael Lakhnavi
Sher
yaad aur un kii yaad kii allaah-re mahviyat
jaise tamaam umr kii fursat KHariid lii
Mael Lakhnavi
Sher
mujhe kaafir hii bataataa hai ye vaa.iz kam-baKHt
mai.n ne bando.n me.n ka.ii baar KHudaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
talKHii tumhaare va.az me.n hai vaa.izo magar
dekho to kis maze kii hai talKHii sharaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
mohabbat aur 'maa.il' jald-baazii kyaa qayaamat hai
sukuun-e-dil banegaa iztiraab aahista aahista
Mael Lakhnavi
Sher
maane.n jo merii baat muriidaan-e-be-riyaa
de.n shaiKH ko kafan to Dubo kar sharaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
maa.il ko jaante bhii ho hazrat hai.n ek ri.nd
kyaa e'tibaar aap ke roze namaaz kaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
Mael Lakhnavi
Sher
ishq bhii kyaa chiiz hai sahal bhii dushvaar hai
un ko idhar dekhnaa mujh ko udhar dekhnaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
iimaan jaa.e yaa rahe jo ho balaa se ho
ab to nazar me.n vo but-e-kaafir samaa gayaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
da.avaa-e-insaaniyat 'maa.il' abhii zebaa nahii.n
pahle ye socho kisii ke kaam aa saktaa huu.n mai.n
Mael Lakhnavi
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Aziz Qaisi
Sher
mile.n kisii se to bad-naam ho.n zamaane me.n
abhii ga.e hai.n vo mujh ko sunaa ke parde me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
tauba ke TuuTte kaa hai 'maa.il' malaal kyuu.n
aisii to hotii rahtii hai akasr shabaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
sailaab-e-ishq Garq-kun-e-aql-o-hosh thaa
ik bahar thaa ki shaam-o-sahar garam-josh thaa
Mael Lakhnavi
Sher
dil kyaa nigaah-e-mast se mai-KHaana ban gayaa
mazmuun-e-aashiqaana bhii rindaana ban gayaa