SEARCH RESULTS
Showing search results for ".mnh"
Sher MATCHES FOR ".mnh"
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
aa.iina dekh apnaa saa mu.nh le ke rah ga.e
saahab ko dil na dene pe kitnaa Guruur thaa
Mirza Ghalib
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kahne detii nahii.n kuchh mu.nh se mohabbat merii
lab pe rah jaatii hai aa aa ke shikaayat merii
Dagh Dehlvi
Sher
yahii vo din the jab ik duusre ko paayaa thaa
hamaarii saal-girah Thiik ab ke maah me.n hai
Parveen Shakir
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na mu.nh lagaa
chhuTtii nahii.n hai mu.nh se ye kaafar lagii hu.ii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Azhar Faragh
Sher
Allama Iqbal
Sher
maah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanaa hargiz
shahr me.n eid kii taariiKH badal jaa.egii
Jaleel nizami
Sher
dikhaa ke jumbish-e-lab hii tamaam kar ham ko
na de jo bosa to mu.nh se kahii.n javaab to de
Mirza Ghalib
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
kis mu.nh se kah rahe ho hame.n kuchh Garaz nahii.n
kis mu.nh se tum ne va.ada kiyaa thaa nibaah kaa