SEARCH RESULTS
Showing search results for ".muag"
Sher MATCHES FOR ".muag"
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
mai.n zaKHm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
mu.aaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
mu.aaf kar na sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamha ki mai.n tujh se ta.ng aayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye faiz-e-ishq thaa ki hu.ii har KHataa mu.aaf
vo KHush na ho sake to KHafaa bhii na ho sake
Makhmoor Jalandhari
Sher
naaseh KHataa mu.aaf sune.n kyaa bahaar me.n
ham iKHtiyaar me.n hai.n na dil iKHtiyaar me.n
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
mai.n ek borii me.n laayaa huu.n bhar ke muu.ng-phalii
kisii ke saath december kii raat kaaTnii hai
Aziz Faisal
Sher
rakhiyo 'Gaalib' mujhe is talKH-navaa.ii me.n mu.aaf
aaj kuchh dard mire dil me.n sivaa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
de gayaa KHuub sazaa mujh ko ko.ii kar ke mu.aaf
sar jhukaa aise ki taa-umr uThaayaa na gayaa
Sada Ambalvi
Sher
KHudaa mu.aaf kare saare munsifo.n ke gunaah
ham hii ne shart lagaa.ii thii haar jaane kii
Nomaan Shauque
Sher
puraane vaqto.n ke kuchh log ab bhii kahte hai.n
ba.Daa vahii hai jo dushman ko bhii mu.aaf kare
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
nahii.n ki jurm-e-mohabbat kaa e'tiraaf nahii.n
magar huu.n KHush ki mirii ye KHataa mu.aaf nahii.n
Jigar Barelvi
Sher
vaa.iz KHataa-mu.aaf ki rindaan-e-mai-kada
dil ke sivaa kisii kaa kahaa maante nahii.n
Karam Hyderabadi
Sher
misaal ye mirii koshish kii hai ki murG-e-asiir
kare qafas me.n faraaham KHas aashiyaa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
Sarfaraz Shahid
Sher
shab vasl kii bhii chain se kyuu.nkar basar kare.n
jab yuu.n nigaahbaanii murG-e-sahar kare.n