SEARCH RESULTS
Showing search results for ".neki"
Sher MATCHES FOR ".neki"
Sher
Javed Akhtar
Sher
puraane log dariyaa.o.n me.n nekii Daal aate the
hamaare daur kaa insaan nekii kar ke chiiKHegaa
Zubair Rizvi
Sher
ajab KHuluus ajab saadgii se kartaa hai
daraKHt nekii ba.Dii KHaamushii se kartaa hai
Atul Ajnabi
Sher
Shaad Aarfi
Sher
dekhe jo merii nekii ko shak kii nigaah se
vo aadmii bhii to mire andar hai kyaa karuu.n
Salman Akhtar
Sher
Mirza Ghalib
Sher
izzat kaa hai na auj na nekii kii mauj hai
hamla hai apnii qaum pe lafzo.n kii fauj hai
Akbar Allahabadi
Sher
ham apnii nekii samajhte to hai.n tujhe lekin
shumaar naama-e-a.amaal me.n nahii.n karte
Azhar Faragh
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
nekii kaa ko.ii kaam hii aayaa nahii.n mujh se
kyaa hovegaa anjaam miraa kuchh nahii.n ma.aluum
Chandu Lal Bahadur Shadan
Sher
apne kisii amal pe nadaamat nahii.n mujhe
thaa nek-dil bahut jo gunahgaar mujh me.n thaa
Himayat Ali Shayar
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
Ameer Minai
Sher
kis ko kahiye nek aur Thahraa.iye kis ko buraa
Gaur se dekhaa to sab apne hii bhaa.ii-band hai.n
Nazeer Akbarabadi
Sher
na nii.nd aa.nkho.n me.n baaqii na intizaar rahaa
ye haal thaa to ko.ii nek kaam kyaa karte