SEARCH RESULTS
Showing search results for ".nsem"
Sher MATCHES FOR ".nsem"
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
mujh se nafrat hai agar us ko to iz.haar kare
kab mai.n kahtaa huu.n mujhe pyaar hii kartaa jaa.e
Iftikhar Naseem
Sher
agarche phuul ye apne liye KHariide hai.n
ko.ii jo puuchhe to kah duu.ngaa us ne bheje hai.n
Iftikhar Naseem
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
is qadar bhii to na jazbaat pe qaabuu rakkho
thak ga.e ho to mire kaa.ndhe pe baazuu rakkho
Iftikhar Naseem
Sher
Naeem Zarrar Ahmad
Sher
zamiin itnii nahii.n hai ki paa.nv rakh paa.e.n
dil-e-KHaraab kii zid hai ki ghar banaayaa jaa.e
Tariq Naeem
Sher
ye intizaar na Thahraa ko.ii balaa Thahrii
kisii kii jaan ga.ii aap kii adaa Thahrii
Naseem Amrohvi
Sher
hazaar talKH ho.n yaade.n magar vo jab bhii mile
zabaa.n pe achchhe dino.n kaa hii zaa.iqa rakhnaa
Iftikhar Naseem
Sher
Naeem Sarmad
Sher
tanhaa.ii ke lamhaat kaa ehsaas hu.aa hai
jab taaro.n bharii raat kaa ehsaas hu.aa hai
Naseem Shahjahanpuri
Sher
ham ajnabii hai.n aaj bhii apne dayaar me.n
har shaKHs puuchhtaa hai yahii tum yahaa.n kahaa.n
Waheeda Naseem
Sher
samjhaa hai haq ko apne hii jaanib har ek shaKHs
ye chaa.nd us ke saath chalaa jo jidhar gayaa
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
jitnii aa.nkhe.n thii.n saarii merii thii.n
jitne manzar the sab tumhaare the
Naeem Zarrar Ahmad
Sher
tumhaaraa naam kisii ajnabii ke lab par thaa
zaraa sii baat thii dil ko magar lagii hai bahut
Sadique Naseem
Sher
kabhii to sard lagaa dopahar kaa suuraj bhii
kabhii badan ke liye ik kiran ziyaada hu.ii
Naseem Sahar
Sher
vo zulm bhii ab zulm kii had tak nahii.n karte
aaKHir unhe.n kis baat kaa ehsaas hu.aa hai