SEARCH RESULTS
Showing search results for ".odll"
Sher MATCHES FOR ".odll"
Sher
hujuum-e-hashr me.n kholuu.ngaa adl kaa daftar
abhii to faisle tahriir kar rahaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
aur mat dekhiye ab adl-e-jahaa.ngiir ke KHvaab
aur kuchh kiijiye zanjiir hilaane ke sivaa
Nomaan Shauque
Sher
zulm bhii sharmaa rahaa hai adl kii miizaan se
kuud jaanaa chaahiye miinaar-e-paakistaan se
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
adl se kar saltanat ai dil tuu tan ke mulk me.n
vaqt-e-fursat buujh le ye hukmaraanii phir kahaa.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhii kabhii ise tanhaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
saahil ke sukuu.n se kise inkaar hai lekin
tuufaan se la.Dne me.n mazaa aur hii kuchh hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diivaaro.n ko apnii aur uu.nchaa kar diyaa
Adil Mansuri
Sher
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaane.n
meraa paiGaam mohabbat hai jahaa.n tak pahu.nche
Jigar Moradabadi
Sher
apnaa zamaana aap banaate hai.n ahl-e-dil
ham vo nahii.n ki jin ko zamaana banaa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqa.a bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badayuni
Sher
pahle is me.n ik adaa thii naaz thaa andaaz thaa
ruuThnaa ab to tirii aadat me.n shaamil ho gayaa