SEARCH RESULTS
Showing search results for ".ofuj"
Sher MATCHES FOR ".ofuj"
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
KHvaabo.n ke ufuq par tiraa chehra ho hamesha
aur mai.n usii chehre se na.e KHvaab sajaa.uu.n
Athar Nafees
Sher
ufuq ke aaKHirii manzar me.n jagmagaa.uu.n mai.n
hisaar-e-zaat se nikluu.n to KHud ko paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
saaqii kuchh aaj tujh ko KHabar hai basant kii
har suu bahaar pesh-e-nazar hai basant kii
Ufuq Lakhnavi
Sher
dil kii dahliiz pe jab shaam kaa saaya utraa
ufuq-e-dard se siine me.n ujaalaa utraa
Hasan Abidi
Sher
tire ufuq pe sadaa sub.h jagmagaatii rahe
jahaa.n pe mai.n huu.n vahaa.n shaam hone vaalii hai
Aftab Hussain
Sher
phuuTne vaalii hai mazduur ke maathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-sub.h pe lahraate hai.n
Ali Sardar Jafri
Sher
suuraj ke ufuq hote hai.n manzil nahii.n hotii
so Dhaltaa rahaa jaltaa rahaa chaltaa rahaa mai.n
Saud Usmani
Sher
kyuu.n ishaara hai ufuq par aaj kis kii diid hai
alvidaa.a maah-e-ramazaa.n vo hilaal-e-iid hai...
Nisar Kubra Azimabadi
Sher
Ahmad Ata
Sher
vo shahr chho.D ke muddat hu.ii chalaa bhii gayaa
had-e-ufuq pe magar chaa.nd ruu-ba-ruu hai vahii
Khaleel Tanveer
Sher
a.ndherii raat kii parchhaa.iyo.n me.n Duub gayaa
sahar kii khoj me.n jo bhii ufuq ke paar gayaa
Akhtar Imam Rizvi
Sher
har ik ufuq pe musalsal tuluu.a hotaa hu.aa
mai.n aaftaab ke maanind rahguzaar me.n thaa
Saud Usmani
Sher
ai 'fazaa' itnii kushaada kab thii ma.anii kii jihat
mere lafzo.n se ufuq ik duusraa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ek aavaaz to guu.njii thii ufuq-taa-ba-ufuq
kaarvaa.n gum hai kahaa.n gard-e-safar se puuchho