SEARCH RESULTS
Showing search results for ".ohd"
Sher MATCHES FOR ".ohd"
Sher
kisii kaa ahd-e-javaanii me.n paarsaa honaa
qasam KHudaa kii ye tauhiin hai javaanii kii
Josh Malihabadi
Sher
jis ahd me.n luT jaa.e faqiiro.n kii kamaa.ii
us ahd ke sultaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
mohabbat vahii.n tak hai sachchii mohabbat
jahaa.n tak ko.ii ahd-o-paimaa.n nahii.n hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
jugnuu ko din ke vaqt parakhne kii zid kare.n
bachche hamaare ahd ke chaalaak ho ga.e
Parveen Shakir
Sher
taa phir na intizaar me.n nii.nd aa.e umr bhar
aane kaa ahd kar ga.e aa.e jo KHvaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
tumhaare ahd-e-vafaa ko mai.n ahd kyaa samjhuu.n
mujhe KHud apnii mohabbat pe e'tibaar nahii.n
Sahir Ludhianvi
Sher
mere liye jiine kaa sahaaraa hai abhii tak
vo ahd-e-tamannaa ki tumhe.n yaad na hogaa
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
ik aur tiir chalaa apnaa ahd puuraa kar
abhii parinde me.n tho.Dii sii jaan baaqii hai
Naz Qadri
Sher
Saghar Siddiqui
Sher
mazaa hai ahd-e-javaanii me.n sar paTakne kaa
lahuu me.n phir ye ravaanii rahe rahe na rahe
Chakbast Braj Narayan
Sher
is se ba.Dh kar ko.ii in.aam-e-hunar kyaa hai 'faraaz'
apne hii ahd me.n ek shaKHs fasaana ban jaa.e