SEARCH RESULTS
Showing search results for ".osyd"
Sher MATCHES FOR ".osyd"
Sher
sab ik charaaG ke parvaane honaa chaahte hai.n
ajiib log hai.n diivaane honaa chaahte hai.n
Asad Badayuni
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
merii rusvaa.ii ke asbaab hai.n mere andar
aadmii huu.n so bahut KHvaab hai.n mere andar
Asad Badayuni
Sher
itnaa to bataa jaa.o KHafaa hone se pahle
vo kyaa kare.n jo tum se KHafaa ho nahii.n sakte
Asad Bhopali
Sher
bichha.D ke tujh se kisii duusre pe marnaa hai
ye tajraba bhii isii zindagii me.n karnaa hai
Asad Badayuni
Sher
gaa.nv kii aa.nkh se bastii kii nazar se dekhaa
ek hii rang hai duniyaa ko jidhar se dekhaa
Asad Badayuni
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
chashm-e-inkaar me.n iqraar bhii ho saktaa thaa
chhe.Dne ko mujhe phir merii anaa puuchhtii hai
Asad Badayuni
Sher
jam ga.ii dhuul mulaaqaat ke aa.iino.n par
mujh ko us kii na use merii zaruurat ko.ii
Asad Badayuni
Sher
mai.n jaantaa huu.n tirii ruuh kii talab jaanaa.n
tujhe badan kii taraf se nahii.n chuu.uu.ngaa mai.n
Subhan Asad
Sher
sharaab band ho saaqii ke bas kii baat nahii.n
tamaam shahar hai do chaar das kii baat nahii.n
Asad Multani
Sher
Mirza Ghalib
Sher
vo saarii baate.n mai.n ahbaab hii se kahtaa huu.n
mujhe hariif ko jo kuchh sunaanaa hotaa hai
Asad Badayuni
Sher
Asad Badayuni
Sher
apne begaane se ab mujh ko shikaayat na rahii
dushmanii kar ke mire dost ne maaraa mujh ko
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Gairo.n ko kyaa pa.Dii hai ki rusvaa kare.n mujhe
in saazisho.n me.n haath kisii aashnaa kaa hai