SEARCH RESULTS
Showing search results for ".qlqh"
Sher MATCHES FOR ".qlqh"
Sher
uTTho mirii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa do
kaaKH-e-umaaraa ke dar-o-diivaar hilaa do
Allama Iqbal
Sher
zamiin kii kokh hii zaKHmii nahii.n andhero.n se
hai aasmaa.n ke bhii siine pe aaftaab kaa zaKHm
Ibn-e-Safi
Sher
vo qulqul-e-miinaa me.n charche mirii tauba ke
aur shiisha-o-saaGar kii mai-KHaane me.n sargoshii
Bedam Shah Warsi
Sher
chaa.ndnii me.n saaya-haa-e-kaaKH-o-kuu me.n ghuumiye
phir kisii ko chaahne kii aarzuu me.n ghuumiye
Majeed Amjad
Sher
saaf qulqul se sadaa aatii hai aamiin aamiin
apne saaqii ko jo ham ri.nd du.aa dete hai.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
tire suKHan me.n ai naaseh nahii.n hai kaifiyyat
zabaan-e-qulqul-e-miinaa sii.n sun kalaam-e-sharaab
Siraj Aurangabadi
Sher
chhi.Dkaa gayaa hai zahr fazaa.o.n me.n is tarah
maa.o.n ne apnii kokh se buu.Dhe janam diye
Latif Shah Shahid
Sher
qaafila jaataa hai saaGar kii taraf rindo.n kaa
hai magar qulqul-e-miinaa jaras-e-jaam-e-sharaab
Sakhi Lakhnvi
Sher
qulqul-e-miinaa sadaa naaquus kii shor-e-azaa.n
ThanDe ThanDe diidanii hai garmii-e-baazaar-e-sub.h
Riyaz Khairabadi
Sher
chillaa rahaa huu.n qulqul-e-miinaa-e-mai kii shakl
de jaam ke labo.n se mujhe saaqiyaa javaab
Imdad Ali Bahr
Sher
kyo.n ko.ii kokh jo suunii ho vo sharminda ho
kyaa zaruurii hai ki har siip se motii nikle
Vibha Jain 'Khwaab'
Sher
lagtii hai ab to qulqul-e-miinaa se dil ko Thes
vo din ga.e kaliim ki ye shiisha sang thaa
Mohammad Husain Kaleem
Sher
sadaa-e-qulqul-e-miinaa mujhe nahii.n aatii
mire savaal kaa shiishe me.n kuchh javaab nahii.n