SEARCH RESULTS
Showing search results for ".qos"
Sher MATCHES FOR ".qos"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
hazaar kos nigaaho.n se dil kii manzil tak
ko.ii qariib se dekhe to ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
Allama Iqbal
Sher
Nida Fazli
Sher
ye zindagii ke ka.De kos yaad aate hai.n
tirii nigaah-e-karam kaa ghanaa ghanaa saayaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
dekhuu.n huu.n tujh ko duur se baiThaa hazaar kos
ainak na chaahiye na yahaa.n duurbii.n mujhe
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
vahshat-e-dil ne kiyaa hai vo bayaabaa.n paidaa
saik.Do.n kos nahii.n suurat-e-insaa.n paidaa
Haidar Ali Aatish
Sher
aage chal ke to ka.De kos hai.n tanhaa.ii ke
aur kuchh duur talak lutf-e-safar hai ye bhii
Zeb Ghauri
Sher
ka.De hai.n kos safar duur kaa zaruurii hai
gharo.n se rishto.n kaa ab KHaatma zaruurii hai
Musavvir Sabzwari
Sher
Jaun Eliya
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
kis kis ko bataa.e.nge judaa.ii kaa sabab ham
tuu mujh se KHafaa hai to zamaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke