SEARCH RESULTS
Showing search results for ".rdu"
Sher MATCHES FOR ".rdu"
Sher
Syed Gulam Mohammad Mast Kalkattvi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
ye kis ne ham se lahuu kaa KHiraaj phir maa.ngaa
abhii to so.e the maqtal ko surKH-ruu kar ke
Mohsin Naqvi
Sher
KHuub-ruu hai.n saik.Do.n lekin nahii.n teraa javaab
dilrubaa.ii me.n adaa me.n naaz me.n andaaz me.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ye aarzuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftuguu karte
Haidar Ali Aatish
Sher
maanaa ki tuu zahiin bhii hai KHuub-ruu bhii hai
tujh saa na mai.n hu.aa to bhalaa kyaa buraa hu.aa
Mohammad Alvi
Sher
badan kaa saaraa lahuu khi.nch ke aa gayaa ruKH par
vo ek bosa hame.n de ke surKH-ruu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
bhulaa dii.n ham ne kitaabe.n ki us parii-ruu ke
kitaabii chehre ke aage kitaab hai kyaa chiiz
Nazeer Akbarabadi
Sher
shikaayate.n bhii bahut hai.n hikaayate.n bhii bahut
mazaa to jab hai ki yaaro.n ke ruu-ba-ruu kahiye
Ali Sardar Jafri
Sher
kaash us ke ruu-ba-ruu na kare.n mujh ko hashr me.n
kitne mire savaal hai.n jin kaa nahii.n javaab
Meer Taqi Meer
Sher
Fuzail Jafri
Sher
zindagii naam hai ik johd-e-musalsal kaa 'fanaa'
raah-rau aur bhii thak jaataa hai aaraam ke ba.ad
Fana Nizami Kanpuri
Sher
mai se Garaz nashaat hai kis ruu-siyaah ko
ik-guuna be-KHudii mujhe din raat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
Ghamgeen Dehlvi
Sher
baal apne us parii-ruu ne sa.nvaare raat bhar
saa.np loTe saik.Do.n dil par hamaare raat bhar