SEARCH RESULTS
Showing search results for ".reb"
Sher MATCHES FOR ".reb"
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
dosto.n ko bhii mile dard kii daulat yaa rab
meraa apnaa hii bhalaa ho mujhe manzuur nahii.n
Hafeez Jalandhari
Sher
ik naam kyaa likhaa tiraa saahil kii ret par
phir umr bhar havaa se mirii dushmanii rahii
Shakil Akhtar
Sher
Allama Iqbal
Sher
yaa-rab vo na samjhe hai.n na samjhe.nge mirii baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabaa.n aur
Mirza Ghalib
Sher
haa.e re majbuuriyaa.n mahruumiyaa.n naakaamiyaa.n
ishq aaKHir ishq hai tum kyaa karo ham kyaa kare.n
Jigar Moradabadi
Sher
Saud Usmani
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
allaah-re saadgii nahii.n itnii unhe.n KHabar
mayyat pe aa ke puuchhte hai.n in ko kyaa hu.aa
Ameer Minai
Sher
vatan kii ret zaraa e.Diyaa.n raga.Dne de
mujhe yaqii.n hai ki paanii yahii.n se niklegaa
Muzaffar Warsi
Sher
pyaas kahtii hai chalo ret nicho.Dii jaa.e
apne hisse me.n samundar nahii.n aane vaalaa
Meraj Faizabadi
Sher
yaa-rab tirii rahmat se maayuus nahii.n 'faanii'
lekin tirii rahmat kii taaKHiir ko kyaa kahiye
Fani Badayuni
Sher
sahraa se ho ke baaG me.n aayaa huu.n sair ko
haatho.n me.n phuul hai.n mire paa.nv me.n ret hai
Tahzeeb Hafi
Sher
allaah re be-KHudii ki tire paas baiTh kar
teraa hii intizaar kiyaa hai kabhii kabhii
Naresh Kumar Shad
Sher
allaah-re us gul kii kalaa.ii kii nazaakat
bal khaa ga.ii jab bojh pa.Daa ra.ng-e-hinaa kaa