SEARCH RESULTS
Showing search results for ".rps"
Sher MATCHES FOR ".rps"
Sher
kuchh to tire mausam hii mujhe raas kam aa.e
aur kuchh mirii miTTii me.n baGaavat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Sher
na ko.ii ranj kaa lamha kisii ke paas aa.e
KHudaa kare ki nayaa saal sab ko raas aa.e
Faryad Aazar
Sher
is shahr ko raas aa.ii ham jaiso.n kii gum-naamii
ham naam bataate to ye shahr bhii jal jaataa
Zehra Nigaah
Sher
un ras bharii aa.nkho.n me.n hayaa khel rahii hai
do zahr ke pyaalo.n me.n qazaa khel rahii hai
Akhtar Shirani
Sher
raas aane lagii duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard kii daulat nahii.n milne vaalii
Iftikhar Arif
Sher
suntaa huu.n ki tujh ko bhii zamaane se gila hai
mujh ko bhii ye duniyaa nahii.n raas aa.ii idhar aa
Muzaffar Hanfi
Sher
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
ya.anii pale hu.e isii aab-o-havaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
Unwan Chishti
Sher
bevafaa kuchh nahii.n terii taqsiir
mujh ko merii vafaa hii raas nahii.n
Sayyad Mohammad Meer Asar
Sher
dar-ba-dar hone se pahle kabhii sochaa bhii na thaa
ghar mujhe raas na aayaa to kidhar jaa.uu.ngaa
Saqi Amrohvi
Sher
raas aa jaatii.n hame.n bhii iid kii KHushiyaa.n tamaam
kaash tuu bhii paas hotaa iid ke lamhaat me.n
Unknown
Sher
aafat-e-jaa.n hu.ii us ruu-e-kitaabii kii yaad
raas aayaa na mujhe haafiz-e-qur.aa.n honaa
Haidar Ali Aatish
Sher
nafas nafas pe yahaa.n rahmato.n kii baarish hai
hai bad-nasiib jise zindagii na raas aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
mujh ko to KHair KHaana-badoshii hii raas thii
tere liye makaan banaanaa pa.Daa mujhe
Sidra Sahar Imran
Sher
aaGaaz to achchhaa thaa 'fanaa' din bhii bhale the
phir raas mujhe ishq kaa anjaam na aayaa