SEARCH RESULTS
Showing search results for ".rrse"
Sher MATCHES FOR ".rrse"
Sher
aur is se pahle ki saabit ho jurm-e-KHaamoshii
ham apnii raa.e kaa iz.haar karnaa chaahte hai.n
Saleem Kausar
Sher
haa.e re majbuuriyaa.n mahruumiyaa.n naakaamiyaa.n
ishq aaKHir ishq hai tum kyaa karo ham kyaa kare.n
Jigar Moradabadi
Sher
merii Gurbat ko sharaafat kaa abhii naam na de
vaqt badlaa to tirii raa.e badal jaa.egii
Nida Fazli
Sher
roz kahtaa huu.n ki ab un ko na dekhuu.ngaa kabhii
rose us kuuche me.n ik kaam nikal aataa hai
Seemab Akbarabadi
Sher
allaah-re saadgii nahii.n itnii unhe.n KHabar
mayyat pe aa ke puuchhte hai.n in ko kyaa hu.aa
Ameer Minai
Sher
har taraf thii KHaamoshii aur aisii KHaamoshii
raat apne saa.e se ham bhii Dar ke ro.e the
Bharat Bhushan Pant
Sher
allaah re be-KHudii ki tire paas baiTh kar
teraa hii intizaar kiyaa hai kabhii kabhii
Naresh Kumar Shad
Sher
allaah-re us gul kii kalaa.ii kii nazaakat
bal khaa ga.ii jab bojh pa.Daa ra.ng-e-hinaa kaa
Ameer Minai
Sher
allaah-re naazukii ki javaab-e-salaam me.n
haath us kaa uTh ke rah gayaa meh.ndii ke bojh se
Riyaz Khairabadi
Sher
tire badan kii mahak ko gulaab se tashbiih
ki jaise ko.ii dikhaa.e charaaG suuraj ko
Maroof Raebarelvi
Sher
aavaazo.n kii bhii.D me.n itne shor-sharaabe me.n
apnii bhii ik raa.e rakhnaa kitnaa mushkil hai
Naseem Sahar
Sher
tum bhii karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhii kare.nge sabr magar iKHtiyaar tak
Mela Ram Wafa
Sher
mirii daastaan-e-hasrat vo sunaa sunaa ke ro.e
mire aazmaane vaale mujhe aazmaa ke ro.e
Saifuddin Saif
Sher
yaad aa.ii.n us ko dekh ke apnii musiibate.n
ro.e ham aaj KHuub lipaT kar raqiib se
Hafeez Jaunpuri
Sher
fareb-e-jalva kahaa.n tak ba-ruu-e-kaar rahe
naqaab uThaa.o ki kuchh din zaraa bahaar rahe