SEARCH RESULTS
Showing search results for ".sonz"
Sher MATCHES FOR ".sonz"
Sher
duniyaa jise kahte hai.n jaaduu kaa khilaunaa hai
mil jaa.e to miTTii hai kho jaa.e to sonaa hai
Nida Fazli
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
Farhat Ehsas
Sher
tanhaa.iyaa.n tumhaaraa pata puuchhtii rahii.n
shab-bhar tumhaarii yaad ne sone nahii.n diyaa
Unknown
Sher
vajuud-e-zan se hai tasviir-e-kaa.enaat me.n ra.ng
isii ke saaz se hai zindagii kaa soz-e-daruu.n
Allama Iqbal
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye
Allama Iqbal
Sher
dil soz se KHaalii hai nigah paak nahii.n hai
phir is me.n ajab kyaa ki tuu bebaak nahii.n hai
Allama Iqbal
Sher
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taala-e-bedaar ne sone na diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
ye bad-nasiibii nahii.n hai to aur phir kyaa hai
safar akele kiyaa ham-safar ke hote hu.e
Haseeb Soz
Sher
Haseeb Soz
Sher
mujh se kyaa baat likhaanii hai ki ab mere liye
kabhii sone kabhii chaa.ndii ke qalam aate hai.n